Whatsapp Delete Message Kaise Dekhe – as savaal ke do matlab bante hain, ek ye ke kisi dusare bande ne koi message aapko bheja aur use Delete for everyone kar diya jise aapke Mobile screen par usi Message ke jagah This message was deteted likha hua aata hai.
Doosara ye ki aapko kisi ne jo kuchh bhi Message kiya tha use aapne khud bekaar Message samajh kar Delete for me wale option se galati se Delete kar diya. khair dono Problems mein aapko ye Message dekhne ke zarort hota hai aur ham aapko in dono savaalon ke jawab isee post mein batane wale hain.
Whatsapp ke 2017 ke Update mein ye aaya tha jaise aap kisi bhi bheje gae Message ko 7 mint ke andar Delete kar sakte hain aur saamne wale ko bol sakte hain ke main ne to kuch bheja hi nahi ya phir Typing Mistake ho gaya tha. aaj kal aap Message ko kaee din ho jaane ke baad bhi Delete for everyone kar sakte hain.
lekin is post ko padhne ke baad aap dusre ke bheje Delete kiye hue Message ko Aasaani se Dekh sakte hain aur apne Delete kiye hue Message ko Recover bhi kar sakte hain. is ke liye do tareeke bataaye gae hain. chaliye jaante hain Whatsapp Delete Message Kaise Dekhe.
Whatsapp Delete Message Kaise Dekhe
Ye Trick un logon ke liye hai jise kisi dusare ne Message bheja tha aur bhejne wale ne hi Delete for everyone kar diya. usne kya bheja tha ye pata karne ke liye aapko sirf apne Mobile ke play store mein jaana hai aur wahan se ek App Notisave ko install kar lena hai. ye App Delete hue Message ko apne aap save kar leta hai.
Aap is App ke name par touch kar ke bhi use Download kar sakte hain. is ke baad in steps ko follow karna hai.
Whatsapp recovery apk
- Notisave App ko open karne ke baad ero (>) par click karna hai.
- As ke baad ye app Mobile ke Notification ka Access maangega use allow kar dena
- Jaise hee aap Allow par Click karenge usi time hee Mobile ke setting mein pahunch jaayenge.
- Is ke baad us app ko auto start karne ka Option Aaega wahan Notisave ko Enable kr dena hai taake wo app Background mein bhi aapke Delete kiye ja rahe Messages ko save karte rahe.
Ab Hamary All Settings Complete ho gaye hai aur ab koi bhi Banda jis ne aap ko Message bheja hai aur Wo use Delete for everyone karega to bhi Message Yahaan apne aap Save ho jaayegee.
How to get back Deleted Message of Whatsapp
As Trick mein aap wo Message waps pa sakte hain ya Recover kar sakte hain jise aapne khud bekaar Message samajh kar [ Delete for me ] wale Option se galati se Delete kar diya tha. un Messages ko aap Aasani se Recover kar sakte hain aur is mein aapko koi bhi app Download karne ki zarurat nahin padegee.